Our good friend Vikas Sharma is back into writing poems after a long break. Here’s his latest poem, which celebrates 12 years relationship anniversary. Looking forward to more new poems.
—————————————————————————-
ye barah baras aapke saath ke
mere haath mein aapke haath ke
ye din aaj laayaa hai jo waaqyaa
wo din apni pahli mulaaqaat kaa
nigaahon mein aayi wo pahli jhalak
rahaa dekhtaa jisko roke palak
uthin dekhne jab nigaahen mujhe
lagin teer jaise kamaan se chale
chamakti hansi se uthi bijliyaan
girin, hosh naa jaane khoyaa kahaan
kahun kyaa khanakti us aawaaz ko
hawaa chhedti ho kisi saaz ko
guzarate samay ki lehar tham gayi
ruki dil ki dhadkan nazar jam gayi
ye aawaaz aayi ye taqdir hai
yahin tere khwabon ki taabir hai
nayi zindagi phir hui aap se
naye marhale aur naye raaste
khili dhup raahon mein phaili kahin
kahin mushkilon ki ghatayen ghirin
kamaal aapki koshishon ne kiye
andhere jahaan the ujaale kiye
judi khwahishen, chahten jud gayi
jude haath kyaa, qismaten jud gayi
badalne lagi kitni naakamiyan
palatne lagi haarti baaziyaan
hue poore jo khwaab dekhe na the
maqaam aise paaye ki soche na the
sitaron se roshan ujaale hue
baharon se bhadkar nazare hue
badhi zindagi ik nayi chaal par
chhidi raagini ik nayi taal par
palon mein simat waqt chalta raha
muhabbat ka sangeet ghulta raha
sureele taraanon ke naghmaat ke
ye barah baras aapke saath ke
– Poem by Vikas Sharma